Tuesday, April 13, 2010

A tribute to Meera

So it seems that a new series has started on TV on Meera. Got into discussion with a friend over it and that resulted in this poem.........



Aayi dharti pe ek aisi raajkumari,
Ati sundar aur susheel, lagti thi badi pyaari.
Khel-khel mein mann mein basa liya kisi ko,
Tan, mann, dhan- sab baithi wo haari.

Sri hari ko rulaa diya, itna tej tha usmein,
Mann mein murat liye phirti rahi wo jag bhar mein.
Sukh-dunk, laaj-sharm to bahut peeche reh gaye,
Jeevan-maran ki sud-budh na rahi uske tan mein.

Vish bhara pyaala naa kar paaya baal baanka,
Duniya ne tab tha uski bhakti ko kam aanka.
Ruswa kiya gaya use saamne sabke,
Par usne ek baar bhi na kisi aur ki oor jhaanka.

Uske bhajan-jaal mein bandh gaye sabhi praani,
Amrit barsaati thi uski madhur vaani.
Jag bhar ghoom failaayi usne prem ki bahaar,
Uske charnon mein gir pade saadhu-mahajani.

Sri hari to swayam uske liye pada aana,
Use to tha hi apne priyatam ke saath jaana.
Teevra jyoti ke saath ho gayi wo alop,
Safal hui isi ke saath uski prem araadhana.

Kiya sabhi ne uski bhakti ko pranaam,
Uske bhajan sun aaj bhi bhool jayein sab kaam.
Hoga jab jab prem ki parakaastha ka varnan,
Liya jayega sirf aur sirf MEERA ka naam.